MAA
Yaha mangti hai, Chaya , bhari dhoop ,
Dikhta hai mausam ka har suhana roop ,
Hai sab khane ko yahan , aur peene ko bhi ,
Hai sabe rehene ko yahan , aur jeene ko bhi ,
Per tabhi maa tere bin adhoora hu main ,
Sab hokar bhi mere pas, na kabhi poora hu main ,
Tere bin meri maa adhoora hu main…!!
Tu hi bata kaise , tere bin rahu ,
Lagta hai sab khali , jaise sharir bin lahu ,
Ae Maa , yaha koi bhi nahi hai apna ,
Koi thamega mera haath dukh ke samay , ye to lagta hai ab ek sapna ,
Bas ek tu hi to hai Maa , jisne , mujhe rota dekh , humesha chup karaya ,
Mere dukho ko khushi mein badal, humesha poore dil se hasaya ,
Per yaha to mujhe log hasta dekh , pagal kehte hai ,
Mujhe rota hua dekh hi , khush rehte hai ,
Per na karna , ae Maa , tu meri fikar ,
Katega apka bacha , khush rehkar , ye safar ,
Apki dant , apke pyar ne , zindagi ka bhut gyan sikhaya hai ,
Musibaton se ladkar , jeet saku , itna kaabil banaya hai ,
Isliye na karna paravah , main sab khel jaunga ,Jitni bade chahe ho mushkil , main sab jhel jaunga!!
Ae Maa , karta hu tujhse pyar bepanah ,
Tere bin zindagi h khali , adhoori hai har jagah ,
Jaise , samundar bin ret , kisan bin khet ,
Bin shahi-ye khat , bin sharir-e-raqt ,
Tere bin bahut mushkil se guzarta hai ye waqt ,
Kab khatam hoga ye intezar ka samay ,
Kab apke gale lagkar hasunga main ,
Bas ab aur nahi saha jata , apke bin ,
Ab aur nahi raha jata , apke bin ,
Jald apka sapna pura kar aa raha hu main ,
Na karna chinta , bas padahi ka hi gyan gar raha hu main ,
Sab pakar jald apki sharan aaunga ,
Bas phir apna ghar , apke charanon mein hi basaunga..!!
+91 77609 61566